Yeh sirf summary hai. Legal taur par is page ka English version hi maana jaata hai.
Yahan do alag situation hain. Jo aapki hai, woh dekhiye. Koi form nahi, koi charge nahi.
Vyanza use karne waale business ke liye
Juda hua account hataiye. Console mein Connections kholiye aur jis account ko hatana hai use disconnect kar dijiye — WhatsApp Business account, Facebook Page ya lead forms, ya Facebook, Instagram ya Google ka ad account. Hatate hi us platform se aage kuch nahi aata, aur Vyanza ko di gayi access khatam ho jaati hai. Jo enquiries aur messages pehle aa chuke hain, woh aapke customers ke record ka hissa hain aur unhi ke saath delete hote hain. Aap platform ki apni settings se bhi access hata sakte hain, ya hamari support team se keh sakte hain.
Jab koi customer apna data delete karwana chahe. Customer aapki privacy notice se ya humein likh kar yeh maang sakta hai. Yeh request aapke paas approval ke liye aati hai, console mein aur WhatsApp par. Aap haan kahein, to us customer ka data mita diya jaata hai, siwaye booking aur payment ke un records ke jo law ke hisaab se rakhne padte hain.
Account band karke sab delete karwaiye. Owner ke registered mobile number ya email se hamari support team ya grievance officer ko likhiye. Hum aapse confirm karenge, account band karenge, aur confirmation ke 30 din ke andar business ka data delete kar denge.
Jo rakhna padta hai: invoice, payment aur tax records, jinhe India ka tax aur company law ek fixed time tak rakhne ko kehta hai. Unka kisi aur kaam mein use nahi hota, aur time poora hone par woh delete ho jaate hain. Backup mein padi copy kabhi wapas service mein nahi laayi jaati, aur backup ki expiry ke saath mit jaati hai.
Aapka data delete karne se aapke apne platforms ki copies delete nahi hoti; woh unki apni policies par chalti hain.
Jinhone Vyanza use karne waale kisi business se contact kiya
Aapke data ka faisla wahi business karta hai; hum use sirf uski taraf se rakhte hain.
Business se kahiye. Yeh sabse tez raasta hai. Woh business Vyanza ke through aapko jo privacy notice dikhata hai, usme delete karwane ka option hai. Use chuniye, aur aapki request seedha business ke paas approval ke liye jaati hai.
Ya humein likhiye. Grievance officer ko email kijiye: us business ka naam aur woh phone number jisse aapne contact kiya. Bas itna hi chahiye — apne baare mein aur kuch mat bhejiye.
Aage kya hoga: hum 24 ghante mein bata dete hain ki request mil gayi, use business tak pahunchate hain aur follow-up karte hain. 30 din mein kaam ho jaana chahiye, aur kisi bhi haalat mein DPDP Rules ki 90 din ki limit ke andar.
Kya bacha rehta hai: agar aapne booking karke payment kiya tha, to business ko uska invoice aur payment record tax law ke tay time tak rakhna padta hai.